2 Line Shayari in English
Raaton ko jaagna na aadat thi na shauq zindagi ka,
Bas ek shakhs jo rootha… to neend hi rooth gayi. β€βπ©Ήπ’
Tujhe khabar nahi kya cheez hai khauf-e-tanhaai,
Dhale jo shaam… to khud apna ghar darata hai. π₯π€
Tera lehja bata gaya… mujhko,
Ke tere dil mein aarzi tha main. πβ€βπ©Ήπ₯
Hum to jal gaye yaadon ki mohabbat mein moom ki tarah,
Phir bhi koi humein bewafa kahe… to uski wafa ko salaam
Ae jaane wale, tujhe itna bhi ehsaas nahi,
Kya guzregi us dil par jisko judaai raas nahi
Toda kuch is ada se ta’alluq usne,
Ke saari umr apna qasoor dhoondhte rahe. πππ»
Alvida keh gaya woh faqat yeh sikhaakar,
Dil jo lagaya tha… rote rahoge. π
Kahaan jod paayenge hum dhadkanon ko…!!!
Ke dil ki tarah hum bhi toote hue hain. ππ
Ajeeb hai yeh mohabbat ki duniya,
Jo dil mein rehte hain… wahi dard dete hain
Tumhein to zindagi ke saare dukh bataye the,
Tumhara haq to nahi banta tha dukh dene ka.
Two Line shayari in English
Bada shauq tha unko mera aashiyaana dekhne ka,
Jab dekhi meri gareebi… to raasta badal diya. π£π€
Saza ban jaati hain guzre hue waqt ki yaadein,
Na jaane kyun log matlab ke liye mohabbat karte hain
Thukraya humne bhi hai bahuton ko teri khaatir,
Tujh se faasla shayad unki bad-duaaon ka asar hai. π€π
Na gile rahe, na gumaan rahe, na guzaarishen rahin, na guftagu,
Na main raha, na tum rahe, na farmaaishen rahin, na justuju. β¨β€βπ©Ή
Faaslay rakh kar kya haasil kar liya tumne? πΌπΎ
Aakhir rehte to aaj bhi mere dil mein hi hote. πΈπ»
Phir yun hua ke sabr ki ungli pakad ke hum,
Itna chale ke raaste hairaan ho gaye
Mujh se mohabbat par mashwara maangte hain log,
Tera ishq kuch is tarah tajurba de gaya mujhe. ππ₯
Aapko kahaan nazar aayengi udaasiyan meri… π¦
Aapko dekh kar to hum muskaraane lagte hain. β€
Wohi raaste jin par kabhi gaamzan the dono…
Mujhe rok rok kar poochhne lage, tera humsafar kahaan hai? β€βπ©Ή
Mashghala accha hai yeh bhi sardiyon ki shaam ka,
Baith kar tanhaayi mein yaadein puraani dekhna. π€π₯Ίπ
Best New 2 line shayari in English
Lafz “wafa” bahut suna tha…!! π€
Dhoonda bahut… magar mila nahi. π₯
Tere ishq mein likhe hain maine alfaaz aise aise, π
Kuch log hum par fida ho gaye, kuch hum se khafaa ho gaye. π₯
Main tumhaari hoon, is baat par yaqeen hai mujhe
Tum ho agar faqat mere… yaqeen dilao na mujhe
Shikayat jo nahi karte,
Takleef unhein bhi hoti hai. π€
Maine palat kar bhi dekha tha, magar tum ja chuke the…!! π
Is se pehle ke main kuch kehti, kuch log tumhein samjha chuke the…” π’
Tere ek faislay ne humein barbaad kar diya… π
Main kehti hi reh gayi, yeh baat ghalat hai… π₯π
Tu jo rootha to dil dehel ke reh gaya,
Mujhe achha lagta tha tera humsafar hona
Tumhein maaloom hi kya hai hijr ka dard jaanaan,
Tumne dekha nahi zarkhaiz zameen ka banjar hona. β€βπ©Ή
Mere dard-e-dil se hain be-khabar,
Mera karb-e-jaan nahi jaante… π
Mere aas paas jo log hain,
Meri talkhiyan nahi jaante π