Sad Shayari in English
Mohabbat na karte to aaj udaas na hote,
Ek chhoti si khata meri zindagi tabah kar gayi…
Wafadaar aur tum – khayaal accha hai,
Bewafa aur hum – ilzaam bhi accha hai…
Bewajah nahi rota koi ishq mein Ghalib 😞😢
Jise khud se badhkar chaahoon, woh rulata zaroor hai 🍂🥀💔
Khizan ke ye zard patte khamoshi se keh gaye,
Jab zindagi bikhar jaaye to sameti nahi jaati…
Chala tha zikr zamaane ki bewafai ka,
So aa gaya tumhara khayaal waise hi…🦋🥀
Wafa karna har kisi ke bas ki baat nahi,
Yeh khaasiyat khoon aur naslon mein paayi jaati hai…🙂
Bhoolna tha to ye iqraar kiya hi kyun tha?
Bewafa, tune mujhe pyaar kiya hi kyun tha?…💔🥀
Mohabbat usse kabhi thi hi nahi mujhse,
Fuqaat dil behlane ke liye kuch der baat kar leta tha…
Jo tumhe dekh ke bhi kisi aur ko dekhe🙂
Woh tamashaai hai… taalib-e-deedaar nahi ___!!🖤
Ae ishq! Main hairaan hoon teri is kahaani par,
Zara bhi taras na aaya tujhe meri is masoom jawaani par 😖💔
Sad Shayari 2 line in English
Mohabbatein panaah maangti hain,
Log is qadar bewafa hain aaj kal…
Guzar jaayegi ye umr-e-rawaan magar,
Dil ko khaati rahegi hamesha judaai teri! 💔🙂
Subah hoti hai, shaam hoti hai,
Zindagi yun hi tamaam hoti hai…
Jo maangte hain duayein umr daraaz ki,
Unhein bata do ke jeena koi mazaak nahi..
Ek mukammal zindagi kharaab kar di,
Tumhare adhoore ishq ne…
Bohat jaldi seekh leta hoon zindagi ka sabak,
Gareeb ka bacha hoon, har baat pe zid nahi karta..
Kahan se dhoond laaun use,
Ae zindagi, jo kho gaya kisi raah pe…
Zindagi ko bohot ghaur se dekh kar aaye hain hum,
Is mein sab kuch hai siwaaye ‘aitbaar’ ke 💔
Mat poochh ke kis tarah chal rahi hai zindagi,
Us daur se guzar raha hoon, jo guzarta hi nahi..
Roshni ki umeed rakho magar,
Umeedon par zindagi mat guzaro…
Best Sad shayari in English
Woh likhta gaya aur banata gaya,
Main jitna bhi padhna chaha, dard utna hi ulajhta gaya ❤
Nazar utha ke zara dekh to sahi ek baar,
Ke tere dard ne kitna badal diya mujhko…
Tumhein to maine humdard maana tha lekin…
Mujhe to saare dard tum hi se mile…
Kabhi paas baitho to bataayein ke dard kya hai,
Yun door se poochhoge to “kheriyat” hi batayenge…
Har dard se bada dard hai dard-e-judaai,
Ek lamha jeene ke liye sau baar marna padta hai.
Hum bure kaise hue saahib,
Dard likhta hoon, kisi ko deta to nahi hoon.
Zakhm de ke na poochh dard ki shiddat,
Dard to dard hai, thoda kya zyada kya…
Jis dil mein tum rehte the na,
Wahan ab sirf dard rehta hai
Dard jab rooh mein ho to,
Dawayein be-asar ho jaati hain…